mera bachpan ka khel,

 Hello doston kaise hain aap sab log ummid hhai ki mere pyare pyare dost acche honge, doston aaj main aapko bahut hi interesting kuchh Apne bare mein bataungi Apne bare mein jaise ki aap bachpan mein kaise khelte the aur jyadatar ham kaun sa khel khelte the to vah aaj main aapke sath share karungi to aap padhoge ,,, Agar aapki han hai to chaliye main likhti hun aur aap padhe..



bachpan me main mere bade Papa ki ladki aur mera bhai mujhse chhota hai jo ham teeno hamesha sath rahte the jo bhi karna hota to ham saath karte the halanki ab bade ho kya bahut अलग-अलग ho Gaye Hain, magar bachpan kaun bhool pata hai hamen bhi apni bachpan ki sari yaden hai yad hai aur jab ham apni bachpan ki sari yado or khel  shrarti,, badtamizi,, sab  yad karte Hain to kahin na kahin thoda Bura lagta hai jo humne kuchh jyada hi badtamiji ki thi Jo Nahin Karna chahie tha but Kya Karen jab ham chhote the itni samajh Nahin thi Jo ab hai..


Doston bachpan bahut hi pyara hota hai ham chahe kitne tanav ttention depression mein kyon Na ho Agar ham ko apna bachpan yad aata hai to Sab tension bension Sab bhul jaate ham ekadam bahut achcha fresh feel karte hain kyunki hamare bachpan mein itni jyada acchi yaden Hoti hai bachpan har Kisi ko bahut achcha ho aur hota hai yahi dua hai meri..


Ham bachpan mein jyadatar khel khelte hain  tarh tarh ke jo kuchh hume humesa Yaad rahte Hain,, hum bhi esa ho ek khel khelte the shaadi wala aapko sunkar thoda atpata laga Hoga but yah sach hai,,, ham bachpan mein shadiyan karte the Kabhi main dulhan to Kabhi main dulha Kabhi dusri ladki dulhan to Kabhi vah dulha but ladki but ham ladkiyan ladkiyan hi aisa khel khelte the doston shaadi ki jo gahne hote the vah pata hai kaun se hote the hamare nim Ka ped to aapane suna hi hoga jo gaon mein bahut milta hai nim ki jo pattiyan ki daliya vah hamara gahana Hoti thi  unke pati use mein acche aur Sundar gahne banaa dete the ,,,, ab hum  yad karte Hain to sochte hamara bachpan mein alag hi dimag tha..



bachpan mein to dimag me atpate khyal   aate Hain अलग-अलग नई-नई tarkibe aati rahti Hain aise hamara bhi dimag tha  har din kuchh Na kuchh alag hi krte  the hamara aur ab bade ho gaye hain kitni sari tension Hain  jindagi mein hai yah karo vah karo padhaai study jobs aur shaadi ,,, ab shadi sunkar dar lagta hai shaadi ke naam se ruh kampti hai sasural wale hi tension mujhe bahut rahti hai sach mein..

doston aaj ka  blog  itna hi tha yahi batana tha ham bachpan mein jyadatar khel kaun sa khela krte  the to chaliye aaj ka pura yahi pr khatam,,  aur aapke milte ho main ek new aur interesting ke sath milti hu. 


 Abhi tak  ke liye bye   bye take care best of luck apna khyal rakhiega aur Mera bhi mujhe support kijiye,,,..


 agar aap YouTube per mujhse milana chahe


to Diye Gaye link per click Karen vahan aapko bahut sari videos milenge meri dekhne ke liye aur han channel ko subscribe jarur kar dijiyega


Post a Comment

0 Comments